Tuesday, December 19, 2017

Ayatal Kursi Padhne Ke Faide

<script async src="https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<script>
     (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({
          google_ad_client: "ca-pub-7026753655403432",
          enable_page_level_ads: true
     });
</script>


*Ayatal Kursi Padhne Ke Faide*
✍Jo insan Har Farz Namaaz Ke Baad Aayatul Kursi padh le To
Us ke Jannat Me Dakhil Hone Ke Darmiyan Sirf Maut Hai
«Nasai, Ibne Habban»
2,Jo Shakhs Farz Namaaz Padhne Ke Baad Aayatul Kursi padh le Wo Dusri Namaaz Tak ALLAH Ta’ala Ki Khas Hifazat Me Rahega
(Tibrani)
3,Jo Bhi Sote Waqt Aayatul Kursi Ki Tilawat Karega ALLAH Us Ke Aur Uske Ghar Walo Ko Apni Hifazat Ata Farmaega
(Marqat Sharah Mishkaat)
4,Jis Ghar Me Aayatul Kursi Ki Tilawat Hoti Hai Jinnat Aur Shaitan Uske Nazdeek Nahi Aate
(Tirmizi Altargheeb Wal Tarheeb Lilmanzari, Jild -2, Safa -631)
5,Agar Koi Ghar Me Tanha Ho Aur Wo Aayatul Kursi Ki Tilawat Kare Aur ALLAH Se Madad Chahe To ALLAH Use Aman Aur Sukoon Ata Farmaega Aur Har Khauf Se Najaat Ata Farmaega
6,Agar Koi Shakhs Subh Ke Waqt Aayatul Kursi Ki Tilawat Kar Le To Wo Pura Din ALLAH Ta’ala Ki Hifazat Me Rahega
7,Ghar Se Nikalte Waqt Aayatul Kursi Ki Tilawat Karne Se ALLAH Farishto Ki Jama’at Ko Bhej Kar Hifazat Karta He
8,Hazrate Aaisha radiallahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ke
Ek Baar Ek Sahabi Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Baargah Me Aakar Kaha Ke Mere Yaha Kisi Cheez Me Barkat Nahi Hai To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke. Tum Apne Khane Par Aayatul Kursi Tilawat Nahi Karte Ho
Jis Khane Ki Cheez Par Tum Aayatul Kursi Ki Tilawat Karoge ALLAH Ta’ala Us Me Barkat Ata Farmaega
(Tafseer Dar Manshoor, Jild -1, Safa -323)
9,Agar Koi Har Roz Ziyada Aayatul Kursi Ki Tilawat Karega To ALLAH Use Maut Ke Waqt Aasani Ata Farmaega
10,Jab Koi Aayatul Kursi Tilawat Karke Apne Marhoomo Ko Isaal e SawaabKarega To. ALLAH Ta’ala Unki Qabro Me Noor Ata Farmaega
Isliye dosto, ayatal kursi padha karo aur jinko yaad nahi wo jaldi hi yaad kar len, bahut faida hoga inshaAllah.
 *Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.*

No comments: